Trip me sub students ne yeh story dekhi or main ne akhir jub trip wapis ane ko tha Rameez se pucha k kia usne Tayyaba se izhare mohabat kia k nhi to wo bola k kr dia hai lekin usne pori baat nhi batai muje laga jesi kuch chupa raha hai. Wo ek acha larka tha lekin hamesha hi reserve rehta tha.
Everyone is shocked, jub is story ka end kuch is tarah howa
Jub hum college ponchey raat k 8pm bj chuke they sab log hi bohat thakey howey they. sab ek dosrey se baten kr rhe they or hans rhe they. Phir achanak hum dosto ko Rameez or tayyaba ka khyal aya kun k wo kahen dikhai nhi de rhe they. Hum ne unhen bohat dhonda lekin wo nhi miley. Phir agle din jub hum main college pohnchi or dosto se mili to unho ne bataya k Rameez or tayyaba college me nhi aye hen. Main socha koi problem ho gi is waja se nhi aye hon gay. Isi tarah 3 din guzr gye lekin wo dono nhi aye. Herat ki baat thi jub se college start howa tha wo dono kisi se apne mobile no share nhi krte they. Jis ki waja se humare pas unk mobile no. bi nhi they k pata kr lete.Bohat reserve rehne waley they wo dono.Kafi sochne k baat hum ne college k principal se baat ki. Unho ne Clerk ko bolaya or kaha k Rameez or Tayyaba k ghar phone kr k confirm kre k wo kkun nhi a rhe. Hum ne clerk se un dono k phone no.s talab kye or khud b try ki lekin howa kuch uuun k jub humne Rameez k ghar call ki to wahan se ek oraat boli maine usey Rameez ka pocha to wo boli KON Rameez yahan koi rameez nhi rehta. Hum bohat pre shan howey. Phir Tayyaba k ghar call ki to wahan se b ek oraat ne phone recieve kia. Maine kahan k tayyaba se baat krwa den to wo oraat rona shuru ho gai main heraan ho gyi k yeh kia ho raha hai . Phir maine rone ki waja puchi us oraat se to usne bataya k Tayyaba us ki beti ka name hai jis ki bachpan me hi death ho gye thi jub wo 5 saal ki thi. Hum log bohat dar gye or principal se dobara baat ki. Principal ne clerk se pucha to wo bola k usey b yehi reply mila hai dono gharoon se.
Wo din gya or aj ka aya k college khatam howe aj 3 saal ho chuke hen lekin aj tak is kahani ki asal waje maloom nhi ho ski.
No comments:
Post a Comment